1,143
Aansuo’n Mein Kho Gayi Wo Hasi,
Jise Kabhi Tera Saath Hasaya Karta Tha !!
Aur Ab Manhoos Sa Lagta H Wo Aaina,
Jisme Kbhi Mera Chehra Nazar Aaya Krta Tha !!
Ab Nhi Aate Wo Khyaab,
Jisme Main Kbhi,
Humare Khwaab Sajaya Krta Tha !!
Aur Bhool Gya Hu Main Wo Dhun,
Jo Main Kbhi Tujhe Sunaya Krta Tha !!
Kyonki!
Aansuo’n Mein Kho Gayi Wo Hasi,
Jise Kabhi Tera Saath Hasaya Karta Tha !!
Toh Sun Dhyan Se..
Toh Sun Dhyan Se..
Khoya Mene Nhi Kuch,
Khoya Tune Hai Us Dhaal Ko,
Jo Tujhe Har Waar Se Bachaya Krta Tha !!
Khoya Tune Hai Us Aam Ko,
Jo Tujhe Khaas Banaya Karta Tha !!
Tere Khwaab Sajaya Karta Tha,
Us Aine Ko Jisme
Tera Chehra Nazar Aaya Karta Tha…
~Naman Jain