
www.PoemsBucket.com
इस अंधियारी रात के बाद
सुबह फिर होगी,
सब्र करो, हिम्मत रखो
सुबह फिर होगी !!
फिर लगेंगे खुशियों के मेले,
दौड़ेंगी फिर से ये ठहरी हुई सड़कें,
फिर से घूमेंगे हम-तुम,
लिए हाथों में हाथ अपनी
पसंद के शहरों में !!
फिर से करेंगे इबादत हम
मन्दिर, मस्जिद, चर्च और
गुरुद्वारों में !!
फिर से रौनकें आएंगी वापस,
सूनसान पड़े इन शहरों में !!
फिर से होगा वो ही मन्ज़र
जिसका हम तुमको है इन्तेज़ार !!
बस कुछ और सब्र करो
यक़ीन रखो, दोपहर के बाद शाम
और शाम के बाद रात के होने पर !!
यक़ीन रखो अपने रब पर !!
सुबह फिर होगी..
©रिज़वान रिज़

www.PoemsBucket.com
Is Andhiyaari Raat Ke Baad
Subah Phir Hogi,
Sabr Karo, Himmat Rakho
Subah Phir Hogi !!
Phir Lagege Khushiyo’n Ke Mele,
Daudegi Phir Se Ye Thehri Huyi Sadke,
Phir Se Ghoomenge Ham-tum,
Liye Haatho Mein Haath Apni
Pasand Ke Shehro Mein !!
Phir Se Karenge Ibadat Ham
Mandir, Masjid , Church Aur
Gurudwaro Mein !!
Phir Se Raonake Ayegi Wapas,
Sunsaan Pade In Shehro Mein !!
Phir Se Hoga Wo Hi Manzar
Jiska Ham Tumko Hai Intzaar !!
Bas Kuch Aur Sabr Karo
Yakeen Rakho, Dopehr Ke Baad Shaam
Aur Shaam Ke Baad Raat Ke Hone Par !!
Yakeen Rakho Apne Rab Par !!
Subah Phir Hogi..
©Rizwan Riz